Nayyara Noor - Mujhe Apne Zabt текст песни

Все тексты песен Nayyara Noor

mujhay apnay zabt pe naaz thaa sar-e-bazm raat ye kia hoova
meri aankh kaisay chalak gayi, mujay ranj hai ye bura hoova
mujhay apnay zabt pe naaz thaa sar-e-bazm raat ye kia hoova
mujhay apnay zabt pe naaz thaa....

mere zindagi ke charagh ko, ye mizaj koi naya nahi
kabhi roshni kabhi teergi, na jala hoova na bujha hoova
meri aankh kaisay chalak gayi, mujay ranj hai ye bura hoova
mujhay apnay zabt pe naaz thaa....

jo nazar bacha ke guzar gaye, mere saamnay thay abhi abhi

ye mere hee shehar ke log thay, mere ghar se ghar hai mila hoova
meri aankh kaisay chalak gayi, mujay ranj hai ye bura hoova
mujhay apnay zabt pe naaz thaa....

mujay hum safar bhi mila koi, tow shikasta haal meri tarah
kayi manzilon ka thaka hoova, kahin raastay mein luta hoova
meri aankh kaisay chalak gayi, mujay ranj hai ye bura hoova
mujhay apnay zabt pe naaz thaa....

Thanks to thiwanka for correcting these lyrics

ДОБАВИТЬ ТЕКСТ В ЛИЧНЫЙ СПИСОК

Комментарии

Имя:
Сообщение: